Ye ishq nahi aasa......

Who Bole .....

Ye ishq nahi aasa, Itna to samajh lejiye...

Ek Aag ka dariya hai, aur doob ke jaana hai ....

************ *****
Maine kaha...

Masoom is mohabbat ka bus itna as fasana hai..

Kagaj ki haveli hai, baarish ka zamaana hai..

Kya shart-e-mohabbat hai, kya shart-e-zamana hai..

Awaz bhi jakhmi hai aur wo geet bhi gana hai..

Uss per utrne ki umeed bahut kam hai..

Kashti bhi puraani hai, tufaan bhi aana hai..

Samajhe ya na samjhe wo andaaz-e-mohabbat ka..

Bheegi hui ankho se ek sher sunaana hai..

Bholi is Ada, koi fir ishq ki jid par hai..

Fir aag ka dariya hai.. Aur doob hi jana hai ...

************ ******

No comments:

Post a Comment